Hazrat Ayesha farmati hen aik din me ne dekha Hazoor (S.A.W) bohot khosh hen me ne arz ki ya rasoolullah mery liye Allah se dua farma den ap (S.A.W) ne ye dua farmai ae Allah! Ayesha k agley pichley tamam gunah muaf farma.Es dua wo khoshi k mary loot poot ho gaen ap (S.A.W) ne farmaya kya tmhen meri dua se bohot khushi ho rahi he.Ap (S.A.W) ne farmaya Allah ki qasam ye dua me apni ummat k liye har namaz me mangta hon.
Ankh dunya ki har chez dekhti hey magar jab ankh k andar kuch chala jae to osy nahi daikh pati, Bilkul isi tarha insan dosron k aib to daikhta he par apne aib ose nazar nahi atey.
Allah ki nafarmani karne se insan hamesha pareshan hi rehta he chahey wo badshah hi q na ho, or Allah ko razi rakhne se insan hamesha sakon me hi rehta he chahey faqeer hi q na ho.
Assalam O Alaikum Aaj Ki Achi Baat(11/01/2015) Dana admi kabhi bhi kisi halat me Allah k siwa kisi ko apna hajat rawa khyal nahi kartachahe wo ba murad rahe ya na murad rahe oski peshani siraf or siraf malk e hakiki ki chikhat par sajda raiz rehti he. Agar dua qabol nahi bhi hoti to bhi Allah se na omeed nahi hota balky apni khami se agah ho kar phir dast dua buland karta he.!!